
Netflix ne kharidi War-Drama film 'Mosul', Russo Brothers ne kiya hai produce
शनिवार, 10 अक्तूबर 2020
Comment
OTT News: Netflix ne Matthew Carnahan dhwara nirdeshit Iraq War-Drama movie Mosul ko kharida, November mein hogi release.
Matthew Carnahan jo isse pehle Brad Pitt ki World War Z aur Chadwick Boseman ki 21 Bridges jaisi behtarin Thriller likh chuke hai unhone movie ko likha hai jo iss movie ke sath apna directorial debut karne vale hai.
Movie ki kahani sachi gatna se prerit hogi jo ek baghi Police Nineveh SWAT team ki kahani ko dikhayegi.
Mosul - kahani Nineveh SWAT team ki hogi jo Mosul mein apne ghar ko bachane ke liye Atanki Sangathan ISIS ke khilaf Guerrilla operations shuru karegi.
Movie Luke Mogelson dhwara 2017 mein The New Yorker mein likhe article "The Desperate Battle to Destroy ISIS" se prerit hein.
Movie ko Avengers: Infinity War aur Avengers: Endgame jaisi shandaar movie direct karne vale Joe aur Anthony Russo ne apne Production house AGBO dhwara produce kiya hai.
Russo Brothers iss pehle Netflix mein sabse jyada dekhe gayi, Chris Hemsworth ki action-thriller movie Extraction ko bhi produce kar chuke hein.
Recommended Reads: Green Lantern ki live-action series, HBO Max par hogi release
0 Response to "Netflix ne kharidi War-Drama film 'Mosul', Russo Brothers ne kiya hai produce"
टिप्पणी पोस्ट करें