
Cargo Trailer: Bollywood ki alag hi concept par bani Sci-fi Movie
सोमवार, 7 सितंबर 2020
Comment
OTTNews: Netflix India ne abhi hi apni anevali movie Cargo ka
trailer release kia hai. Cargo ek Science-fiction movie hai jise Arati Kadav
ne direct kiya hai. Movie mein Mirzapur Stars Vikrant Messey aur Shweta
Tripathi mukhya kirdaar honge.
Cargo - kahani vikrant ke kirdaar
Prahastha ki hogi jo ek spaceship par "rakshasa" hai, aur vo bimaar logo ko
punarjanam ke liye taiyar karke unhe recycle karta hai. Spaceship mein kai
saal guajr ne ke baad uski madad ke liye Yuvishka ko spaceship par bheja
jata hai.
Trailer dekh kar hum samaj sakte hai ki movie mainstream Bollywood se bahut
hi jyda alag hone vali hai. aur Bollywood mein abatak hume iss tarah ki
movie dekhne ko nahi mili hai. movie mein punarjanam jaise concept ko Sci-fi
gene ke sath milaneki koshish ki gayi hai, jo bahut hi achha lag raha
hai.
Director Arati Kadav ne
Huffpost
ke interview ke dauran bataya tha, sci-fi ko india mein itna jyada dikhaya
nahi gaya hai "India mein Sci-fi ko shuru se galat dhang se dikhaya gaya hai. aur iss
liye main kuchh aisa karna chahti hu jisse India ke Aam log isse jud sake.
Mein vo kahani ko Sci-fi ke sath milana chahti hu jise sunn kar hum sab
bade huye hai. aur isi liye mein yaha hu."
Cargo ko Vikramadiya Motwane serving producer ke sath milkar Anurag
kashyap produce kar rahe hai, Movie ko isse pehle MAMI film festivals mein
premiere kia gaya tha.
Cargo September 09, 2020 ko
Netflix
par worldwide release hogi.
0 Response to "Cargo Trailer: Bollywood ki alag hi concept par bani Sci-fi Movie"
टिप्पणी पोस्ट करें