
Kya Wonder Woman 1984 ki release date firse badal rahi hai ?
![]() |
Via Instagram |
kyunki Warner Bros ki CEO Ann Sarnoff ne kuchh aisa kaha, "hum ab bhi saari movies ke liye ek pariyojna soch rahe hai. humne kafi kuchh kia hai. Zahir hai Wonder Woman inme sabse uper hai. Aur abhi ye vahi hai jaha ise hone chahiye. Jaisa ki mene pehle kaha tha, kuchh filme sirf bade parde ke layak hoti hai aur muje yakin hai Wonder Woman usme se ek hai."
Ann Sarnoff ne The Hollywood Reporter ke sath Tenet movie ko cinema gharo mein release ki baat par kaha, Tenet movie ko kabhi bhi digital release ke liye nahi banaya gaya hai, disney ki $200 Million ki Mulan sirf US tak rah gayi hai. esa lagta hai studio Wonder Woman 1984 ke Ade nahi ayega.
Patty Jenkins ki Wonder Woman vaise to bade parde ki liye hi bani hai par halat ko dekh kar lag nahi raha ki movie ek mahine baad Cinema gharo mein lage. US ki kuchh chuninda jagaho mein Guideline ke sath cinema ghar shuru ho rahe hai.
Antarashtriya market mein China mein halat sudhar rahe hai jaha 50% jyada Cinema gharo ko chalu kia gaya hai.
Isse pehle Wonder Woman ko india mein release to kia gaya tha aur use original lauguage English mein hi rakha gaya tha par iss baar fan ki Demand par Movie ke second part Wonder Woman 1984 ko dub kia gaya hai par india mein jaise halat hai use dekh kar lag nahi raha hai ke movie 2021 se pehle india ke Cinema gharo mein ayegi.
To ho sakta hai Warner Bros anpe plan par datte rahe aur ise October mein release kare yaa Stithi ko sudhare ke liye vaqt de aur fir release kare.
Abhi movie ki official release date 2 October, 2020 ki hai aur muje ummed hai movie uss vaqt release ho jaye.
Wonder Woman 1984 Trailer (Hindi)
0 Response to "Kya Wonder Woman 1984 ki release date firse badal rahi hai ?"
टिप्पणी पोस्ट करें