
Jake Gyllenhaal 2018 ki iss remake mein ayenge najar, Netflix par hogi release
गुरुवार, 24 सितंबर 2020
Comment
OTT News: Netflix ne 2018 mein ayi Danish thriller drama movie
Den Skyldige/The Guilty ke Worldwide Rights ko $30 million Dollars main kharid liya hai.
Aur Agar Deadline ki mane to Netflix iske remake The Guilty par kaam kar
raha hai jise The Equalizer aur The Magnificent Seven jaisi
kamal ki movie dene vale Antonie Fuqua direct karenge. aur movie mein
Spider-Man: Far From Home se Jake Gyllenhaal bhi najar ayenge.
Original Danish movie Den Skyldige/The Guilty ko Gustav Moller
ne direct kiya tha jise Denmark ki taraf se 2019 mein Best International
Feature Film category mein Oscars ke liye bhi bheja gaya tha.
Den Skyldige/The Guilty - kahani ek police
officer ki hai jise janch ki vajah se demoted karke apaatkaalin call centre
mein desk job ke liye bheja jata hai. jaha use apharan huvi ek aurat se
daravana call ataa hai. aur use bachane ke liye vo khud mein chhupe ek
rakshash se ladta hai.
Movie ko Jake Gyllenhaal, Nine Stories ke co-founder Riva Marker, Michel
Litvak, Gary Michel Walters David Litvak aur Svetlana Metkina ke sath milkar
Produce karne vale hai.
Jake Gyllenhaal iss pehle 2015 ki Sport Drama movie Southpaw mein
bhi Antonie Fuqua ke sath kaam kar chuke hai.
Recommended Reads: Tom Cruise October 2021 mein NASA ki madad se jayegnge Space mein
0 Response to "Jake Gyllenhaal 2018 ki iss remake mein ayenge najar, Netflix par hogi release"
टिप्पणी पोस्ट करें